BARG-O-BAAR KA MAUSAM-POETRY SMS
October 7, 2010 Leave a comment
BARG-O-BAAR KA MAUSAM-POETRY SMS
Khayaal-o-Khvaab hu’aa, barg-o-baar kaa mausam
Khayaal-o-Khvaab hu’aa, barg-o-baar kaa mausam
bichhaR gayaa tirii suurat, bahaar kaa mausam
ka’ii rutoN meN mire niim-vaa dariichoN meN
Theher gayaa hai tire intizaar kaa mausam
vo narm lehje meN kuchh to kahe,yaa lauT aaye
sama’atoN kii zamiiN par phuaar kaa mausam
payaam aaye haiN, phir eik sar-e-qaamat ke
mere wajod ko khaiNchay hai daar kaa mausam
vo aag hai ke merii poor poor jalti hai
mere badan ko milaa hai chanaar kaa mausam.
RULA JATAY HAIN LOG
Hanste hain yon hi hans k rola jate hain log,
Milte hain yon hi mil k judaa ho jate hain log,
Pal do pal umar ka sath na samjho,
Mohabbat b karte hain or khafa b ho jate hain log,
Qedi hain na jane kin kin majboriyon k,
Kar k izhaar-e- mohabbat beparwa ho jate hain log,
,
Ab kis se shikwa karen apni kismat ka.
?WASI
Kar k wafa k wade bewafa ho jate hen log.









